اردو हिंदी
Bhagte sayon ke pichhe ta-ba-kai dauDa karen | Shaahi Shayari
bhagte sayon ke pichhe ta-ba-kai dauDa karen

Ghazal

Bhagte sayon ke pichhe ta-ba-kai dauDa karen

Hafeez Banarasi

;

bhagte sayon ke pichhe ta-ba-kai dauDa karen
zindagi tu hi bata kab tak tera pichha karen

ru-e-gul ho chehra-e-mahtab ho ya husn-e-dost
har chamakti chiz ko kuchh dur se dekha karen

be-niyazi KHud sarapa iltija ban jaegi
aap apni dastan mein husn to paida karen

dil ki tha KHush-fahm aagah-e-haqiqat ho gaya
shukr bhejen ya teri bedad ka shikwa karen

mughbachon se mohtasib tak saikDon darbar hain
ek saghar ke liye kis kis ko hum sajda karen

tishnagi had se baDhi hai mashghala koi nahin
shisha-o-saghar na toDen baada-kash to kya karen

dusron par tabsira farmane se pahle 'hafiz'
apne daman ki taraf bhi ek nazar dekha karen