bhage achchhi shaklon wale ishq hai goya kaam bura
apni haalat kya mein bataun bad achchha badnam bura
gesu-o-ruKH ko jab se chaha tab se mera rang ye hai
sham achchha to subh bura aur subh achchha to sham bura
qadar ho kya KHak us ke ghar mein aandhi ke si aam hain dil
aashiq TuTe paDte hain har roz ka izn-e-am bura
bandh ke halqe gherenge ab mere dil ki KHair nahin
ghunghar wale gesu us ke bandh rahe hain lam bura
sar pe amama hath mein subha 'shauq' na ja but-KHane ko
but hain baDe kafir rakh denge sar ilzam bura
Ghazal
Bhage achchhi shaklon wale ishq hai goya kaam bura
shauq Qidvai