bhaDe ka ek makan hun mujh ko KHabar nahin hai
apna hi mehman hun mujh ko KHabar nahin hai
koi batae mujh ko zinda hun mar chuka hun
gar hun to main kahan hun mujh ko KHabar nahin hai
kuchh bhi nahin bacha hai bas dur tak KHala hai
kya main hi aasman hun mujh ko KHabar nahin hai
tum mere darmiyan ho mujh ko pata hai lekin
main kis ke darmiyan hun mujh ko KHabar nahin hai
kuchh sau arab sitare mujh mein hain dafn yani
main ek kahkashan hun mujh ko KHabar nahin hai
apne hi zehn-o-dil par chhaya hua hun kab se
baadal hun ya dhuan hun mujh ko KHabar nahin hai
koi KHayal hun main ya phir sawal hun main
main kaun sa saman hun mujh ko KHabar nahin hai
kirdar mar chuke hain lekin main ji raha hun
main kaisi dastan hun mujh ko KHabar nahin hai
Ghazal
BhaDe ka ek makan hun mujhko KHabar nahin hai
Tripurari