bezar zindagi se dil-e-muzmahil nahin
shayad ba-qadr-e-zarf abhi dard-e-dil nahin
apna to us ne sath nibhaya hai umr-bhar
kuchh log kah rahe hain ki gham mustaqil nahin
diwana-e-mafad hai begana-e-KHulus
wo ahl-e-aql-o-hosh sahi ahl-e-dil nahin
shoale kahan se aaenge kaise khilenge phul
zaKHmon ki aag dil mein agar mustaqil nahin
wo to hamari baat ko samjhenge kis tarah
jin ka dimagh to hai magar jin ka dil nahin
kya KHub inhimak hai mahw-e-KHayal ka
'talib' KHuda ki zat bhi is mein muKHil nahin
Ghazal
Bezar zindagi se dil-e-muzmahil nahin
Talib Chakwali