bezar phir na honge kabhi zindagi se hum
ho len tere qarib jo KHush-qismati se hum
ai kash hum bhi hote kabhi itne KHush-nasib
gham banTte kisi ka to hanste kisi se hum
tum ne bula liya to chale aae bazm mein
kab chahte the qurb-e-harifan KHushi se hum
anjam-e-tur aaj bhi apni nazar mein hai
ghash kha na jaen aap ki jalwagari se hum
ji chahta hai raaz-e-dil-e-gil to kuchh khule
bulbul ki baat puchh len ja kar kali se hum
naz-o-niyaz ishwa-o-ghammaziyan na sikh
ai husn kah rahe hain dil-e-ashiqi se hum
'shadan' ki hai sada ki palaT aae inqalab
aajiz nahin hain aaj bhi farman-dahi se hum
Ghazal
Bezar phir na honge kabhi zindagi se hum
Shanti Lal Malhotra