bewafai se wafaon ka sila mat dena
bad-dua dene se achchha hai dua mat dena
tohmaten aap ke daman se lipaT sakti hain
aag jab sulgi hui ho to hawa mat dena
gul khila sakta hai aawara-KHayali ka safar
zehn-e-hassas ko KHushbu ka pata mat dena
jin se mansub hai tariKH rawadari ki
aandhiyo aise daraKHton ko gira mat dena
jo makan lams-shanasi ka hunar jaante hain
un ko dastak ki zarurat hai sada mat dena
mujh ko sadat ki nisbat ke sabab mere KHuda
aajizi dena takabbur ki ada mat dena
Ghazal
Bewafai se wafaon ka sila mat dena
Seen Sheen Alam