اردو हिंदी
Bewafai karke niklun ya wafa kar jaunga | Shaahi Shayari
bewafai karke niklun ya wafa kar jaunga

Ghazal

Bewafai karke niklun ya wafa kar jaunga

Zafar Iqbal

;

bewafai karke niklun ya wafa kar jaunga
shahr ko har zaiqe se aashna kar jaunga

tu bhi DhunDega mujhe shauq-e-saza mein ek din
main bhi koi KHub-surat si KHata kar jaunga

mujh se achchhai bhi na kar meri marzi ke KHilaf
warna main bhi hath koi dusra kar jaunga

mujh mein hain gahri udasi ke jarasim is qadar
main tujhe bhi is maraz mein mubtala kar jaunga

shor hai is ghar ke aangan mein 'zafar' kuchh rose aur
gumbad-e-dil ko kisi din be-sada kar jaunga