اردو हिंदी
Bewafa kahne se kya wo bewafa ho jaega | Shaahi Shayari
bewafa kahne se kya wo bewafa ho jaega

Ghazal

Bewafa kahne se kya wo bewafa ho jaega

Bekhud Dehlvi

;

bewafa kahne se kya wo bewafa ho jaega
tere hote is sifat ka dusra ho jaega

shart kar lo phir mujhe barbaad hona bhi qubul
KHak mein mil kar to hasil muddaa ho jaega

sar na hoga dosh par to kya na hogi guftugu
hichkiyon se shukr qatil ka ada ho jaega

sina toDa dil mein chuTki li jigar zaKHmi kiya
kya KHabar thi tir bhi teri ada ho jaega

mere kahne mein hai dil jab tak mere pahlu mein hai
aap le lije ise ye aap ka ho jaega

sath un ke jaan bhi arman bhi jaenge aaj
subh se pahle rawana qafila ho jaega

main malun talwon se aankhen wo kahen samjhunga main
yaad rakh phika agar rang-e-hina ho jaega

phir wahi jhagDe ka jhagDa hai agar qum kah diya
tegh ka mansuKH sara faisla ho jaega

kis KHushi mein hae kaisa ranj phaila kya karun
kya KHabar thi hanste hanste wo KHafa ho jaega

hashr tak kyun baat jae kyun paDe ghairon ke munh
ghar mein samjhauta hamara aap ka ho jaega

aankh se hai wasl ka iqrar dil dugda mein hai
tum zaban se apni kah doge to kya ho jaega

zulm se gar zabh bhi kar do mujhe parwa nahin
lutf se Darta hun ye meri qaza ho jaega

us ne chheDa tha mujhe tum jaan doge kab hamein
kah diya main ne bhi jab wada wafa ho jaega

yun sawal-e-wasl par Tala kiya barson koi
sabr kar muztar na ho tera kaha ho jaega

lakh duniya mein hasin hon lakh huren KHuld mein
mujh ko jo tu hai wo koi dusra ho jaega

tauba bhi kar li thi ye bhi nashsha ki thi ek tarang
aap samjhe the ki 'beKHud' parsa ho jaega