bewafa hun na wafadar hun main
sach to ye hai ki adakar hun main
si diye us ne mere honT to kya
ab mujassam lab-e-izhaar hun main
mere hathon mein gaDe hain kanTe
phul hun aur sar-e-dar hun main
har kiran Dub chali surat-e-nabz
kin andheron mein ziya-bar hun main
zehn hai sar pe laTakti talwar
kin aqaed mein giraftar hun main
is liye mujh se KHafa hai koi
us ka hote hue KHuddar hun main

Ghazal
Bewafa hun na wafadar hun main
Khalid Ahmad