bekasi ka haal mayyat se ayan ho jaega
be-zaban hona mera goya zaban ho jaega
shauq se dil ko miTa do lekin itna soch lo
is ke har zarre se paida ek jahan ho jaega
dil ke bahlane ko aao aaj nale hi karen
aasman ke zarf ka bhi imtihan ho jaega
waqt KHud manus kar deta hai ai taza asir
chand din rah le qafas bhi aashiyan ho jaega
'abr' main kya kah sakunga un se haal-e-dard-e-dil
jo zaban se lafz niklega fughan ho jaega
Ghazal
Bekasi ka haal mayyat se ayan ho jaega
Abr Ahsani Ganauri