beja nawazishat ka bar-e-garan nahin
main KHush hun is liye ki koi mehrban nahin
aaghosh-e-hadsat mein pai hai parwarish
jo barq phunk de wo mera aashiyan nahin
kyun hans rahe hain rah ki dushwariyon pe log
hun be-watan zarur magar be-nishan nahin
ghabraiye na gardish-e-ayyam se hanuz
tartib-e-fasl-e-gul hai ye daur-e-KHizan nahin
kuchh barq-soz tinke mujhe chahiyen 'shakeb'
jhuk jaen gul ke bar se wo Daliyan nahin

Ghazal
Beja nawazishat ka bar-e-garan nahin
Shakeb Jalali