beja na tha uTh baiThna bechaini se mera
shab samne aankhon ke wo taswir khaDi thi
ek hath dhara dil pe ek angusht dahan mein
yun kushta-e-ulfat ki tere lash paDi thi
us gauhar-e-yakta ki jo main yaad mein roya
har ashk-e-musalsal mera moti ki laDi thi
sadme se shab-e-hijr ke jita jo bacha tu
bimar-e-tap-e-hijr teri umr baDi thi
ki us ne hai aasan dam-e-tegh se warna
manzil ye 'shuur' apne liye saKHt kaDi thi
Ghazal
Beja na tha uTh baiThna bechaini se mera
Shuoor Balgirami