beja hai rah-e-ishq mein ai dil gila-e-pa
ye aur hi manzil hai nahin marhala-e-pa
hangam-e-KHiram us ke hujum-e-dil-e-ushshaq
ghash-karda hain Thokar ke bahar-fasla-e-pa
kal bosa-e-pa hum ne liya tha so na aaya
shayad ki wo bosa hi hua aabla-e-pa
us pa ki rah-e-rashk mein nazuk qadmon ke
phirte hain bhaTakte hue sau qafila-e-pa
sau naz se Thokar ba-sar-e-arsh lagana
us gul ke siwa kis ka hai ye hausla-e-pa
gul-barg pe rakhte hi qadam hans ke jo khincha
shayad hui saKHti se rag-e-gul KHila-e-pa
dil se rah-e-dil-bastagi kab tai ho 'nazir' aah
wo zulf-e-musalsal jo na ho silsila-e-pa
Ghazal
Beja hai rah-e-ishq mein ai dil gila-e-pa
Nazeer Akbarabadi