اردو हिंदी
Behtar ki gunjaish baqi rah jati hai | Shaahi Shayari
behtar ki gunjaish baqi rah jati hai

Ghazal

Behtar ki gunjaish baqi rah jati hai

Khaavar Jilani

;

behtar ki gunjaish baqi rah jati hai
kami kahin poshida koi rah jati hai

man-chahi taswir banane mein mujh se
hunar-wari mein kuchh kotahi rah jati hai

sailab aa jaane par us basti ki
sari puKHta-kari kachchi rah jati hai

banne wali baat wahi hoti hai wo jo
bante bante yaksar banti rah jati hai

rah jati hai aate aate aati saat
honi hote hote hoti rah jati hai

waqt guzar jata hai lekin dil ki ranjish
dil mein baiThi ki baiThi hi rah jati hai

chalte rah jate hain roz o shab ke dhande
ganga ulTi sidhi bahti rah jati hai

phank liye jaane ko KHak masafat ki
rahon par hi chhani-phaTki rah jati hai

aa jati hai birha aur dulhniyan chhat par
apne gile baal sukhati rah jati hai