اردو हिंदी
Beganagi ka abr-e-giran-e-bar khul gaya | Shaahi Shayari
beganagi ka abr-e-giran-e-bar khul gaya

Ghazal

Beganagi ka abr-e-giran-e-bar khul gaya

Muneer Niyazi

;

beganagi ka abr-e-giran-e-bar khul gaya
shab main ne us ko chheDa to wo yar khul gaya

galiyon mein sham hote hi nikle hasin log
har rahguzar pe tabla-e-attar khul gaya

hum ne chhupaya lakh magar chhup nahin saka
anjam-e-kar raaz-e-dil-e-zar khul gaya

tha ishrat-e-shabana ki sarmastiyon mein band
baad-e-sahar se dida-e-gulbar khul gaya

aaya wo baam par to kuchh aisa laga 'munir'
jaise falak pe rang ka bazar khul gaya