begana-e-wafa tera shewa hi aur hai
ahl-e-wafa ka taur-tariqa hi aur hai
dair o haram ki rah mein rakhte nahin qadam
hum rah-rawan-e-shauq ka rasta hi aur hai
dil bewafa ke hath na bechega ba-wafa
tum se nahin banega ye sauda hi aur hai
allah dil na tum ko taDapta hua dikhae
dekha na jaega ye tamasha hi aur hai
jalwa-farosh aap hain main dil-farosh hun
aison se kya banega ye sauda hi aur hai
TukDe hain dil jigar ke 'mubarak' ki sher hain
ghazlon ka aap ki to safina hi aur hai
Ghazal
Begana-e-wafa tera shewa hi aur hai
Mubarak Azimabadi