bedar ki nigah mein kal aur aaj kya
lamhon se be-niyaz ka koi ilaj kya
qadren bhaTak rahi hain abhi khanDaraat mein
hum ahd-e-irtiqa se wasulen KHiraj kya
har zehn be-lagam hai har fikr be-qayas
aazad nasl-o-qaum ke rasm-o-riwaj kya
kis ko wahan pe kijiye tafriq-ashna
jis ka jahan lagao na ho ehtijaj kya
zinda ho jab zamir to lazim hai ehtiyat
palkon ki chhawni mein nigahon ki laj kya
koi bhi rut ho bhuk ki faslen ugaiye
hum inT bo rahe hain to paen anaj kya
mausam ko chahiye na meri pairwi kare
'shaiq' asir-e-dard ka apna mizaj kya
Ghazal
Bedar ki nigah mein kal aur aaj kya
Shaiq Muzaffarpuri