bedad ke KHugar the fariyaad to kya karte
karte to hum apna hi kuchh tum se gila karte
taqdir-e-mohabbat thi mar mar ke jiye jaana
jina hi muqaddar tha hum mar ke bhi kya karte
mohlat na mili gham se itni bhi ki haal apna
hum aap kaha karte aur aap suna karte
nadim use chaha tha jaan us pe fida kar ke
tadbir to achchhi thi taqdir ko kya karte
ahbab se kya kahiye itna na hua 'fani'
jab zikr mera aata marne ki dua karte
Ghazal
Bedad ke KHugar the fariyaad to kya karte
Fani Badayuni