bedad-e-taghaful se to baDhta nahin gham aur
mere liye sikho koi andaz-e-sitam aur
maghmum to donon hain magar farq hai itna
un ko koi gham aur hai mujh ko koi gham aur
zahir mein jafaon pe wo sharminda hain lekin
nazren yahi kahti hain abhi honge sitam aur
har baat mein karte ho jo tafriq man-o-tu
is ka to ye matlab hua tum aur ho hum aur
Ghazal
Bedad-e-taghaful se to baDhta nahin gham aur
Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi