bechte kya ho miyan aan ke bazar ke beach
aur ana kahe ko rakh chhoDi hai bewpar ke beach
us ghaDi adl ki zanjir kahan hoti hai
jab kanizon ko chuna jata hai diwar ke beach
shahr hota hai sitaron ke lahu se raushan
tasht mein sar bhi paDe hote hain darbar ke beach
kabhi us rah mein phal-phul laga karte the
ab lahu kaTte hain kabul-o-qandhaar ke beach
karb ke waste maujud hai duniya-e-bahisht
sach muallaq hai abhi aatish-o-gulzar ke beach
rakh baiThegi to phir aag rawana hogi
jaane kab se jo dahakti rahi kohsar ke beach
sham utarti hai to 'wajid' main yahi sochta hun
aaj ka din bhi gaya yaadon ke ambar ke beach
Ghazal
Bechte kya ho miyan aan ke bazar ke beach
Wajid Ameer