bechne aae koi kya dil-e-shaida le kar
dam dete hi nahin aap to sauda le kar
chaar din bhi to na rakkha dil-e-shaida le kar
aap ne hum se bhi kam-baKHt ko khoya le kar
qatl ke baad nazakat se jo thak jate hain
baiTh jate hain wo kushte ka sahaara le kar
ghair ka qatl kuchh aisa to nahin hai mushkil
chhoD do hath koi nam hamara le kar
sans ke sath jo hoti hai khaTak sine mein
zoaf se dard bhi uThta hai sahaara le kar
aa gaya mujh ko nazar apni wafa ka anjam
main ne talwar ko qatil se jo dekha le kar
ab to 'beKHud' ko ye dawa hai ba-qaul-e-ustad
aadmi ishq kare nam hamara le kar
Ghazal
Bechne aae koi kya dil-e-shaida le kar
Bekhud Dehlvi