bechaini ke lamhe sansen patthar ki
sadiyon jaise din hain raaten patthar ki
pathrai si aankhen chehre patthar ke
hum ne dekhin kitni shaklen patthar ki
gore hon ya kale sar par barse hain
parkhi hum ne sari zaten patthar ki
nilami ke dar par bebas sharminda
KHamoshi mein lipTi aankhen patthar ki
dil ki dhaDkan baDhti jae sun sun kar
shishagar ke lab par baaten patthar ki
andar ki aaraish-e-nazuk kya hoga
bahar wazni hain diwaren patthar ki
aao mil kar un mein DhunDen aadam-zad
chalti phirti jo hain lashen patthar ki
Ghazal
Bechaini ke lamhe sansen patthar ki
Zulfiqar Naqvi