bechain dil hai phir bhi chehre pe dilkashi hai
muflis ki zindagi mein jo kuchh hai qudrati hai
ehsas ka parinda jaga hai mere andar
us ki ata se KHush hun dil mahw-e-bandagi hai
sahraon se to pyase lauTe nahin kabhi hum
dariya ke beach mein hain to pyas lag rahi hai
hum sochte hain akasr kyun hashr sa hai barpa
jazbon mein hai tarawat fikron mein shoalagi hai
mausam ki hi tarah ab insan badal rahe hain
ye faiz-e-agahi hai ya qasd-e-gumrahi hai
kis se kahun main 'ahsan' roz-e-azal se ab tak
kuTiyon mein tirgi hai mahlon mein raushni hai
Ghazal
Bechain dil hai phir bhi chehre pe dilkashi hai
Ahsan Imam Ahsan