bech di kyun zindagi do-chaar aane ke liye
ek do lamha to rakhta muskurane ke liye
dauD kar daftar gae bhage wahan se ghar gae
lunch mein fursat nahin hai lunch khane ke liye
kis liye kis ke liye TaTTu bane ho raat din
aaj bhi roya hai bachcha god aane ke liye
ganw mein man-bap tum ko yaad karte hain bahut
waqt thoDa sa nikalo ganw jaane ke liye
kuchh samay ghar ke liye bhi ab nikalo dosto
din bahut thoDe bache hain ghar bachane ke liye
Ghazal
Bech di kyun zindagi do-chaar aane ke liye
ShivKumar Bilgarami