اردو हिंदी
Be-yaqini ka talluq bhi yaqin se nikla | Shaahi Shayari
be-yaqini ka talluq bhi yaqin se nikla

Ghazal

Be-yaqini ka talluq bhi yaqin se nikla

Azlan shah

;

be-yaqini ka talluq bhi yaqin se nikla
mera rishta wahi aaKHir ko zamin se nikla

mujh ko pahchan tu ai waqt main wo hun jo faqat
ek ghalati ke liye arsh-e-barin se nikla

ek mere aankh jhapakne ki zara der thi bas
wo qarib aata hua dur kahin se nikla

eDiyan mar ke zaKHmi bhi hue log magar
koi chashma nahin zarKHez zamin se nikla