be-waza shab-o-roz ki taswir dikha kar
ab dad na mango mujhe zanjir dikha kar
kaisi hain kaf-e-lauh pe be-rabt lakiren
mani na chhupao mujhe tahrir dikha kar
ai shisha-e-jaan tujh mein lahu KHatm bhi hoga
ye nashsha utar jaega tasir dikha kar
main sham-e-shab-zulm hun aaghaz-e-sahar tak
dil bujhne laga subh ki tanwir dikha kar
kis shaKH pe hai harf-e-gul-e-surKH dikhao
qail bhi karo lafz ki tafsir dikha kar
yun sehr-e-kashish ne kiya eajaz ka munkir
diwar-e-hawa par mujhe shahtir dikha kar
hai koh-kani bar-e-amanat abhi sar par
mat rok mujhe tesha-o-taqdir dikha kar
kahte ho ki KHwahish ka samar tursh hai 'shahid'
aankhon ko ghalat KHwab ki tabir dikha kar
Ghazal
Be-waza shab-o-roz ki taswir dikha kar
Saleem Shahid