be-wajh zulm sahne ki aadat nahin rahi
ab hum ko dushmanon ki zarurat nahin rahi
wo bhi hamare nam se begane ho gae
hum ko bhi sach hai un se mohabbat nahin rahi
rahbar tamam mulk ke nazron se gir gae
aankhen khulin to dil mein aqidat nahin rahi
aisa nahin ki un se mohabbat na ho magar
pahle sa josh pahle si shiddat nahin rahi
qurbat mein uljhanen thin bahut ranj the bahut
milna nahin raha to shikayat nahin rahi
Ghazal
Be-wajh zulm sahne ki aadat nahin rahi
Salman Akhtar