be-wajh nain hai aaina har bar dekhna
koi dam ko phulta hai ye gulzar dekhna
nargis ki tarah KHak meri ugen hain chashm
Tuk aan ke ye hasrat-e-didar dekhna
khinche to tegh hai haram-e-dil ke said par
ai ishq par bhala tu mujhe mar dekhna
hai naqs-e-jaan did tera par yahi hai dhun
ji jao yar ho mujhe yak-bar dekhna
ai tifl-e-ashk hai falak-e-haftamin pa arsh
aage qadam na rakhiyo tu zinhaar dekhna
puchhe KHuda sabab jo mere ishtiyaq ka
meri zaban se ho yahi izhaar dekhna
har naqsh-e-pa pe taDpe hai yaro har ek dil
Tuk waste KHuda ke ye raftar dekhna
karta to hai tu aan ke 'sauda' se iKHtilat
koi lahr aa gai to mere yar dekhna
tujh bin ajab maash hai 'sauda' ka in dinon
tu bhi Tuk us ko ja ke sitamgar dekhna
ne harf o ne hikayat o ne sher o ne suKHan
ne sair-e-bagh o ne gul-o-gulzar dekhna
KHamosh apne kalba-e-ahzan mein roz o shab
tanha paDe hue dar-o-diwar dekhna
ya ja ke us gali mein jahan tha tera guzar
le subh ta-ba-sham kai bar dekhna
taskin-e-dil na is mein bhi pai to bahr-e-shaghl
paDhna ye sher gar kabhu ashaar dekhna
kahte the hum na dekh saken roz-e-hijr ko
par jo KHuda dikhae so na-chaar dekhna
Ghazal
Be-wajh nain hai aaina har bar dekhna
Sauda Mohammad Rafi