be-wafa na-mehrban ye sach hai wo aisa to tha
mat kaho kuchh us ko yaro jo bhi tha mera to tha
bhiD itni hai nagar mein kis jagah DhunDun use
ek chehra kuchh dinon pahle kahin dekha to tha
raat aai aur aa ke mujh ko tanha kar gai
kam se kam din tha to mere sath ek saya to tha
ab to ek muddat hui koi sada aati nahin
jin dinon TuTa tha dil ek shor sa uTTha to tha
hum 'hasan' ko jaante hain aadmi achchha na tha
do-ghaDi ko pas aa ke dil ko bahlata to tha

Ghazal
Be-wafa na-mehrban ye sach hai wo aisa to tha
Hasan Kamal