be-tuki raushni mein parae andhere liye
ek manzar hai tere liye ek mere liye
ek gul-e-KHwab aisa khula shaKH murjha gai
main ne masti mein ek ism ke sat phere liye
dar dariche muqaffal kiye kunjiyan phenk din
chal paDe apne kandhon pe apne basere liye
teri KHatir mere garm KHitte ki ThanDi hawa
sab hari Tahniyan aur un par khile phul tere liye
sham-e-wada ne kis din hamara irada suna
kab kise shab mili aur kis ne sawere liye
Ghazal
Be-tuki raushni mein parae andhere liye
Javaid Anwar