be-tarah in mein ulajh jaega nadani na kar
waqiat-e-umr-e-rafta par nazar sani na kar
dil pe jo guzri hai us par ashk-afshani na kar
zindagi ki anjuman mein marsiya-KHwani na kar
kya zaruri hai ki ye dukh banTne wale bhi hon
milne walon se kabhi zikr-e-pareshani na kar
aarzuon ko na rakh har chiz se baDh kar aziz
tez tar kanTe hain ye un ki nigahbani na kar
waqt ke bigDe hue atwar ka andaz dekh
zindagi mein har-qadam par apni man-mani na kar
kashti-o-tufan ke ek naz se rishte ko samajh
halqa-e-tufan mein rah kar apni man-mani na kar
'arsh' is mein talKHi-e-gham ke siwa kuchh bhi nahin
tu kitab-e-zindagi ki safha-gardani na kar
Ghazal
Be-tarah in mein ulajh jaega nadani na kar
Arsh Sahbai