be-tarah aap ki yaadon ne sataya hai mujhe
chandni raaton ne aa aa ke rulaya hai mujhe
aap se koi shikayat na zamane se gila
mere haalat ne majbur banaya hai mujhe
aaj phir auj pe hai apna muqaddar shayad
aaj phir aap ne nazron se giraya hai mujhe
apne begane hue aur zamana dushman
be-dimaghi ne meri din ye dikhaya hai mujhe
kaun se dasht mein le aaya mujhe mera junun
muD ke dekha hai to kuchh KHauf sa aaya hai mujhe
phir hue aaj baham jam-e-gul o naghma-e-shab
phir mere mazi ne 'mumtaz' bulaya hai mujhe
Ghazal
Be-tarah aap ki yaadon ne sataya hai mujhe
Mumtaz Mirza