اردو हिंदी
Be-tamanna hun KHasta-jaan hun main | Shaahi Shayari
be-tamanna hun KHasta-jaan hun main

Ghazal

Be-tamanna hun KHasta-jaan hun main

Abid Munavari

;

be-tamanna hun KHasta-jaan hun main
ek ujDa hua makan hun main

jang to ho rahi hai sarhad par
apne ghar mein lahuluhan hun main

gham-o-alam bhi hain mujh ko aziz
qadr-danon ka qadr-dan hun main

zabt tahzib hai mohabbat ki
wo samajhte hain be-zaban hun main

lab pe iKHlas hath mein KHanjar
kaise yaron ke darmiyan hun main

chhed hi chhed hain faqat jis mein
aisi kashti ka baadban hun main

jo kisi ko bhi aaj yaad nahin
bhuli-bisri wo dastan hun main

ya giran-gosh hai nagar ka nagar
ya kisi dasht mein azan hun main

shairi ho ki aashiqi 'abid'
har riwayat ka pasban hun main