be-talab ek qadam ghar se na bahar jaun 
warna main phand ke hi sat samundar jaun 
dastanen hain makanon ki zabanon pe raqam 
paDh sakun main to makanon se bayan kar jaun 
main munazzim se bhala kaise karun samjhauta 
Dubne wale sitaron se main kyun Dar jaun 
ruh kya aae nazar jism ki diwaron mein 
in ko Dhaun to us aaine ke andar jaun 
aur do chaar masaib ki kasar baqi hai 
ye uTha laun to main duniya ke safar par jaun 
zahr hai mere rag-o-pai mein mohabbat shayad 
apne hi Dank se bichchhu ki tarah mar jaun 
thak ke patthar ki tarah baiTha hun raste mein 'zafar' 
jaane kab uTh sakun kya jaaniye kab ghar jaun
        Ghazal
Be-talab ek qadam ghar se na bahar jaun
Yusuf Zafar

