اردو हिंदी
Be-takalluf mera haijaan banata hai mujhe | Shaahi Shayari
be-takalluf mera haijaan banata hai mujhe

Ghazal

Be-takalluf mera haijaan banata hai mujhe

Shariq Kaifi

;

be-takalluf mera haijaan banata hai mujhe
samne tere kahan bolna aata hai mujhe

wo udasi ki bikharne se nahin bach sakta
aur tera lams ki chunta chala jata hai mujhe

ab mere lauT ke aane ka koi waqt nahin
yun bhi ab ghar se siwa kaun bulata hai mujhe

git hi sirf labon par ho to aa jae bhi nind
wo koi aur kahani bhi sunata hai mujhe

qata kar ke bhi talluq wo kahan chain se hai
is ke asbab-o-dalael bhi ginata hai mujhe

KHud se wo kaun se shikwe hain ki jate hi nahin
apne jaison pe yaqin kyun nahin aata hai mujhe

aur ek bar zara chheD meri ruh ke tar
in suron mein to koi aur bhi gata hai mujhe

ek tera dard hai achchhe hain marasim jis se
bas wahi hai ki jo palkon pe biThata hai mujhe

main kisi dusre pahlu se use kyun sochun
yun bhi achchha hai wo jaisa nazar aata hai mujhe

ho sabab kuchh bhi mere aankh bachane ka magar
saf kar dun ki nazar kam nahin aata hai mujhe

na-KHudaon ne to KHush-fahmiyan baKHshi hain faqat
main hun KHatre mein ye tufan hi batata hai mujhe