اردو हिंदी
Be-tahasha si la-ubaali hansi | Shaahi Shayari
be-tahasha si la-ubaali hansi

Ghazal

Be-tahasha si la-ubaali hansi

Bashir Badr

;

be-tahasha si la-ubaali hansi
chhin gai hum se wo jiyali hansi

lab khule jism muskurane laga
phul ka khilna tha ki Dali hansi

muskurai KHuda ki mahwiyyat
ya hamari hi be-KHayali hansi

kaun be-dard chhin leta hai
mere phulon ki bholi-bhaali hansi

wo nahin tha wahan to kaun tha phir
sabz patton mein kaise lali hansi

dhup mein khet gungunane lage
jab koi ganw ki jiyali hansi

hans paDi sham ki udas faza
is tarah chae ki pyali hansi

main kahin jaun hai taaqub mein
us ki wo jaan lene wali hansi