be-tabiyon mein ashkon mein nalon mein ghir gae
yani hum apne chahne walon mein ghir gae
aaya na KHwab mein bhi kabhi apna kuchh KHayal
hum is qadar andheron ujalon mein ghir gae
sab ahl-e-zarf rah-e-amal par hue rawan
kam-zarf idhar udhar ke KHayalon mein ghir gae
un ke qadam na chum sakin manzilen kabhi
rahi jo apne panw ke chhaalon mein ghir gae
un ko KHushi main un ki mohabbat mein qaid hun
mujh ko KHushi wo mere KHayalon mein ghir gae
jin ko nasib ho na saken dil ki mastiyan
wo bad-nasib mai ke pyalon mein ghir gae
ek pal bhi rah sake na akele hum ai 'jigar'
nikle jo bhiD se to KHayalon mein ghir gae
Ghazal
Be-tabiyon mein ashkon mein nalon mein ghir gae
Jigar Jalandhari