اردو हिंदी
Be-tabi-e-gham-ha-e-darun kam nahin hogi | Shaahi Shayari
be-tabi-e-gham-ha-e-darun kam nahin hogi

Ghazal

Be-tabi-e-gham-ha-e-darun kam nahin hogi

Shahzad Ahmad

;

be-tabi-e-gham-ha-e-darun kam nahin hogi
ye aag to ab tum se bhi maddham nahin hogi

daman ko ziya-e-ruKH-e-mahtab se bhar le
ab barish-e-anwar hai paiham nahin hogi

tu hi dil-e-betab jo so jae to so jae
ye chandni is raat to maddham nahin hogi

main un ke liye ghair hun wo mere liye ghair
achchha hai ki ab ranjish-e-baham nahin hogi

hum sab ko suna kar hi rahenge gham-e-hasti
aawaz kisi shor mein mudgham nahin hogi

ab qafila-e-zist hi ruk jae to ruk jae
ye dard ki lazzat to kabhi kam nahin hogi