اردو हिंदी
Be-sud ek silsila-e-imtihan na khol | Shaahi Shayari
be-sud ek silsila-e-imtihan na khol

Ghazal

Be-sud ek silsila-e-imtihan na khol

Hakeem Manzoor

;

be-sud ek silsila-e-imtihan na khol
sab dekh dekhta hi chala ja zaban na khol

andar ka hi na ho zara bahar bhi dekh le
dil KHun hai to aankh pe KHunin saman na khol

ek gard chhaegi tere momi dimagh par
thamne de aandhiyon ko abhi khiDkiyan na khol

chhup jaega kahan tere hisse ka aaftab
ai saya-gard sar pe koi saeban na khol

imkan ho to kar le hawa se musalahat
be-faeda hai warna koi baadban na khol

un se yaqin ki daulat-e-nayab mang tu
aankhon pe apni koi fusun aur guman na khol

'manzur' harf harf qalam ka hisab de
lekin fuzul daftar-e-sud-o-ziyan na khol