اردو हिंदी
Be-shauq-e-talab be-zauq-e-nazar be-rang thi unki gul-badani | Shaahi Shayari
be-shauq-e-talab be-zauq-e-nazar be-rang thi unki gul-badani

Ghazal

Be-shauq-e-talab be-zauq-e-nazar be-rang thi unki gul-badani

Moghisuddin Fareedi

;

be-shauq-e-talab be-zauq-e-nazar be-rang thi un ki gul-badani
ye kohkan-o-majnun ki nazar shirin bhi bani laila bhi bani

dekhe hue un ko der hui har naqsh abhi tak taza hai
be-gana-washi mastana-rawi jadu-nazari shirin-suKHani

hum apne hi ghar mein rahte the jab teri nazar mein rahte the
ab roz satati hai hum ko ai dost watan mein be-watani

phulon mein jhalakte hain chehre shaKHon pe guman aaghosh ka hai
kuchh aisi basi hai nazron mein gul-pairahani nazuk-badani

nazron mein na be-mehri ki ada baaton mein na wo KHushbu-e-wafa
kitne hi dilon ko toD gai zalim ki jabin ki be-shikani

us bazm-e-tarab mein hansne par majbur hamein qismat ne kiya
phulon se jahan shoale lapken saghar mein ghule hire ki kani

shoalon mein nikharte hain jauhar qismat pe 'faridi' tanz na kar
gham aisi hi neamat hai jis ko pate hain yahan qismat ke dhani