be-sar-o-saman kuchh apni taba se hain ghar mein hum
shahr kahte hain jise hain us ke pas-manzar mein hum
sham Dubi paD rahe suraj ke dar par shab ki shab
subh bikhri chal paDe KHud ko liye Thokar mein hum
aagahi tu ne hamein kin wusaton mein gum kiya
be-nishan har mulk mein be-asra har ghar mein hum
apne hi sahra mein kho jaenge andaza na tha
bazgasht apni liye phirte hain apne sar mein hum
satwen dar tak pukar aai KHudi ko be-KHudi
aur har dar se jawab aaya nahin hain ghar mein hum
teri dastak thi ki sannaTa wahi har sham ka
rahraw-e-koh-e-nida hain ghar ke baam-o-dar mein hum
chaar-su sahra mein hai dard-e-anassahra ki gunj
kaT kar apni zaban rakh aae the patthar mein hum
chhan ye sahra ghuTi hain is ki chauhad mein sadaen
kaT ye parbat dabe hain is ki KHakistar mein hum
ab hamein bhata nahin paiham sadaon ka nuzul
ab to KHud gunje hue hain gumbad-e-be-dar mein hum
kiyan makan taka hai dil ne raat aur din se pare
be-zaban hote chale hain qaid-e-baam-o-dar mein hum
jaane is rah-raw ki nazren kaun si manzil pe hon
ek kanTa sa khaTakte hain dil-e-rahbar mein hum
zahr ka pyala ho pina ya uThani ho salib
sadiyon baad aaen magar hote hain is manzar mein hum
dasht-dar-dasht aasman-bar-dosh chalte hain 'shahab'
hum se banjare janm apna liye Thokar mein hum
Ghazal
Be-sar-o-saman kuchh apni taba se hain ghar mein hum
Shahab Jafri