اردو हिंदी
Be-sabab wahshaten karne ka sabab jaanta hai | Shaahi Shayari
be-sabab wahshaten karne ka sabab jaanta hai

Ghazal

Be-sabab wahshaten karne ka sabab jaanta hai

Islam Uzma

;

be-sabab wahshaten karne ka sabab jaanta hai
main jo karta hun wo kyun karta hun sab jaanta hai

bolte sab hain magar baat kahan karte hain
ye saliqa to koi mohr-ba-lab jaanta hai

mujh se gustaKH ko wo kaise gawara kar le
jab ki wo shahr-e-suKHan hadd-e-adab jaanta hai

apne hi Dhab se wo karta hai meri chaaragari
kab chamakna hai mera tale-e-shab jaanta hai

kaise mausam mein kahan rahat-e-jaan utrega
aisi sab baaten dil-e-ranj-e-talab jaanta hai

bhul sakta hai use ye dil-e-ayyar magar
chashm-o-abru ka fusun lazzat-e-lab jaanta hai

muskura kar jise milta hun hamesha 'azmi'
ek wahi meri udasi ka sabab jaanta hai