be-sabab Thik nahin ghar se nikal kar jaana
justuju ho koi dil mein to safar par jaana
din ke tapte hue mausam mein bhaTakna har-su
sham aae to parindon ki tarah ghar jaana
har guzarte hue be-rang se mausam ke liye
ek nai rut ke nae phul yahan dhar jaana
log jalta hua ghar dekh ke KHush hote hain
aur hum ne use ab apna muqaddar jaana
zehn mafluj to afkar hain aaseb-zada
ye bhi kya waqt hai har baat pe Dar Dar jaana
saeban aab-e-rawan phul bahaaren KHushbu
in sarabon se har ek gam hai bach kar jaana
us ki palkon pe chamak uTThe hain jab bhi aansu
qatre qatre ko mere dil ne samundar jaana
Ghazal
Be-sabab Thik nahin ghar se nikal kar jaana
Saeed Arifi