be-sabab log badalte nahin maskan apna
tum ne jalte hue dekha hai nasheman apna
kis kaDe waqt mein mausam ne gawahi mangi
jab gareban hi apna hai na daman apna
apne luT jaane ka ilzam kisi ko kya dun
main hi tha rah-numa main hi tha rahzan apna
koi milta hai jo is daur-e-pur-ashob mein dost
mashware de ke bana lete hain dushman apna
jab bhi sach bolte bachchon pe nazar paDti hai
yaad aa jata hai be-saKHta bachpan apna
yun kiya karte hain laDkon ko nasihat aksar
jaise hum ne na guzara ho laDakpan apna
rang-e-mahfil ke liye hum nahin badle 'mohsin'
wahi andaz-e-taKHayyul hai wahi fan apna
Ghazal
Be-sabab log badalte nahin maskan apna
Mohsin Bhopali