be-sabab KHauf se dil mera larazta kyun hai
baat-be-baat yunhi KHud se ulajhta kyun hai
shor aise na kare bazm mein KHamosh rahe
ek tawatur se KHuda jaane dhaDakta kyun hai
mom ka ho ke bhi patthar ka bana rahta tha
ab ye jazbaat ki hiddat se pighalta kyun hai
hijr ke jitne bhi mausam the wo kaTe hans kar
phir sar-e-sham hi yaadon mein sisakta kyun hai
us ke hone se main inkar karun to kaise
aks us ka meri aankhon mein jhalakta kyun hai
jab bhi KHamoshi se tanhai mein baiThi ja kar
karb sa us ki rifaqat ka chhalakta kyun hai
phuT jae ye kisi taur koi Thes lage
ban ke phoDa sa wo ab dil mein Tapakta kyun hai
jo muqaddar mein likha tha wo hua hai 'asra'
KHwab ki baaton se is tarah machalta kyun hai
Ghazal
Be-sabab KHauf se dil mera larazta kyun hai
Asra Rizvi