اردو हिंदी
Be-sabab humse judai na karo | Shaahi Shayari
be-sabab humse judai na karo

Ghazal

Be-sabab humse judai na karo

Faez Dehlvi

;

be-sabab hum se judai na karo
mujh se aashiq se burai na karo

KHaksaran ko na kariye pamal
jag mein firaun si KHudai na karo

be-gunahan kun na kar Dalo qatl
aah kun tir-e-hawai na karo

ek dil tum se nahin hai raazi
jag mein har ek sun burai na karo

mahw hai 'faez'-e-shaida tum par
us se har lahza bakhai na karo