be-ruKHi ne us ki kaisa ye ishaara kar diya
waqt se pahle qayamat ka nazara kar diya
lakh kahne par bhi us ne ruKH pe rakkha tha naqab
ek jhalak ki aarzu ko nagawara kar diya
chal paDe daman jhaTak kar hum ko pichhe chhoD kar
tanha aaghaz-e-safar par kyun dobara kar diya
KHud hi lau ummid ki us ne jagai aur phir
toD kar ummid KHud hi be-kinara kar diya
kaisi bedardi se toDa us ne nata pyar ka
kyun jahan mein phir 'saba' ko be-sahaara kar diya
Ghazal
Be-ruKHi ne uski kaisa ye ishaara kar diya
Bubbles Hora Saba