be-rang the aarzu ke KHake
wo dekh rahe hain muskura ke
ye kya hai ki ek tir-andaz
jab take hamare dil ko take
ab soch rahe hain kis ka dar tha
hum sambhle hi kyun the Dagmaga ke
ek ye bhi ada-e-dilbari hai
har baat zara ghuma phira ke
dil hi ko miTaen ab ki dil mein
pachhtae hain bastiyan basa ke
hum wo ki sada fareb khae
KHush hote rahe fareb kha ke
chhu aai hai un ki zulf 'mahshar'
andaz to dekhiye saba ke
Ghazal
Be-rang the aarzu ke KHake
Mahshar Inayati