be-qarari si be-qarari hai
wasl hai aur firaq tari hai
jo guzari na ja saki hum se
hum ne wo zindagi guzari hai
nighare kya hue ki logon par
apna saya bhi ab to bhaari hai
bin tumhaare kabhi nahin aai
kya meri nind bhi tumhaari hai
aap mein kaise aaun main tujh bin
sans jo chal rahi hai aari hai
us se kahiyo ki dil ki galiyon mein
raat din teri intizari hai
hijr ho ya visal ho kuchh ho
hum hain aur us ki yaadgari hai
ek mahak samt-e-dil se aai thi
main ye samjha teri sawari hai
hadson ka hisab hai apna
warna har aan sab ki bari hai
KHush rahe tu ki zindagi apni
umr bhar ki umid-wari hai
Ghazal
Be-qarari si be-qarari hai
Jaun Eliya