be-qarari dil-e-muztar ki baDhai hum ne
aaj phir tum se koi aas lagai hum ne
mushkilen rah-e-wafa mein bhi banain aasan
rasm-e-ulfat to ba-har-taur nibhai hum ne
shayad aa jao kisi rose kabhi lauT ke tum
bas usi aas mein har rah sajai hum ne
tum kabhi the na hamare na kabhi hoge sanam
ye samajhne mein bahut der lagai hum ne
hae dilkash wo adaen dil-awez nazar
jin mein uljhe rahe aur umr ganwai hum ne
koi shikwa na shikayat na gila hai tum se
apne hi hath se hasti bhi miTai hum ne
rahne wale hain 'saba' arsh-e-barin ke wo to
kahkashan phir bhi sar-e-farsh bichai hum ne
Ghazal
Be-qarari dil-e-muztar ki baDhai humne
Bubbles Hora Saba